Gemini Horoscope 2015 Urdu Gemini Love

Gemini Horoscope 2015 Urdu: Gemini star 2015 mazi ke muqablay mein zayada pur umeed aur faida mand hai. Aap ki rohani aur shakhsi tarbiyat ke moqa mojud hain, aap kii ilmi aur adbi rahain khulain gi. Kisi bhi jagah aap ki mojudgi mehsoos ki jaye gi. Apni pur asar personality ko istemal kar ke mutalqa afrad aur adaron se jese chahain maqasid hasil kar sakte hain. Chand lafzon mein agar is saal ko bayan kiya jaye tou ye kehna darust ho ga ke Gemini people  apne liye is poday ki abyari karne ja rahe hain, jis ka phal salon tak khayain gey aur us ki chaon naslon tak kar amad ho gi.

Aap ko har mamlay ko gehri nazar se dekhna ho ga. Mehz mali istehkam hi mad-e-nazar na ho balkeh jazbati wabastgi aur aap ke zair-e-saya afrad ke sath aap ka relationship aham ho ga. Qudrat ghair mehsoos tareeqay se aap ke liye nayi rahain paida kar sakti hai. Gemini Woman ki taraf kashish barhay gi aur is ka taluq zehni aur fikri soch ki taskeen se ho ga. June ka mahina jazbat mein tezi paida kar sakta hai aur tabiyat ki jald bazi, taluqat aur kaam. Donon ko mutasir kar sakti hai. Atard aap ka hukmaran sitara hai, jokamon mein rukawatain paida kar sakta hai, albata july se mushtari ka khana maal mein ana yani aap ke zaicha ke dusre ghar mein anay se khuch behtari aye gi aur mamlat mein istehkam paida ho ga.


Gemini Love Marriage: Woh log jo apne sitare ke barey mein mohabbat ki shadi ka maloom karna chahte hain un ke liye khush khabri hai ke un ke liye ye haal mohabbat ke mamlay mein behtareen kamyabi lay kar araha hai ke hairat angez tor par wahan shadi ka imkan zayada hai jahan pasand hai.

Gemini Health: Sehat ke hawalay se year 2015 for Gemini kafi behtar ho ga. Diseases se chutkawa hasil ho ga. Khayalat ki shiadat ki wajah se bay khawabi ka shikar thay tou un ke liye khusb gawar gehri neend ke asar banain gey. Aik cheez, jisay aap ko apni soch ke daire se kharij karna hai, woh aap ki toham parasti hai, jis ki wajah se aap khud ko bimar tasawar kartay hain, jab ke haqeeqatan us ka taluq aap ki neend ke auqat aur khanay peenay ki adaat se hai.

2 comments:

nadeem said...

mashallah allah ap ko kamyab kary dunia main b aur akhirat maien b

Unknown said...

wawa hn ay ga maza

Post a Comment