Sagittarius Horoscope 2015 Urdu Sagittarius Love

Sagittarius Horoscope 2015 Urdu: Sagittarius Star Aap ke andar muashray ki khidmat ka jazba paida ho sakta hai is ke liye apne khandani wasail ke sath sath apne qareebi doston ki madad se kisi aisay adaray ki madad kar saktay hain jahan jahan bohat se logon ki zindagiyon ko behtar kiya ja sakta hai. Aisa bhi ho sakta hai ke aao khawahish karain ke woh shauq ke jinhain aap apni zumadariyon ki wajah se pura nahin kar sakay thay, un par bhi khuch waqt sarf karain. Yaqeenan aisa karna behtar ho ga. Jub aap ki zaat aur zehan kisi pasandeeda tafreh ya mashghalay se mutmaen ho ga tou aap dusron ke liye bhi ache sabat hon gey.

Sagittarius Health: Sehat ke hawalay se year 2015 bohat aham hai joron ka dard aur wazan mein izafa jese masail shamil hain.

Sagittarius Wealth: 2015 mein mali tor par aap ka acha faida ho ga. Pehle se ki gyi investment munafa de gi. June 2015 ke baad se aur bhi acha waqt araha hai, rizq mein izafa se bohat si khawahishat puri ho sakti hain.

Sagittarius Career: Mulazmat paisha afrad ke liye 2015 behtar hai aur aap kisi kayi jagah kaam karna pasand karain gey lekin hamara mashwara yehi ho ga ke khawahishat apni jagah magar aqalmandi ka taqaza ye hai ke jub tak aap ke hath mein yaqeeni nayi job na ho tab tak mojooda adaray ya kaam se munsalik rehna behtar ho ga. Karobar karnay walon ke liye bharpur khushiyon ka saal hai. Year ke start mein 3 months aap ke liye naye zariye la raha hai. Apne business ko agey barhanay ke liye ye behtareen waqt hai. Maal mein izafa ki mazeed rahain khulti nazar ati hain. Kisi karobari jhagray ka faisla aap ke haq mein ho ga. Aap ke liye 2015 taraqi ka saal hai.

Sagittarius Travel: Safar ke lihaz se Sagittarius woman aur man ke liye khush naseebi ka dor hai. Kyoun ke 2015 mein shadi aur safar ya rozgar ki wajah se zindagi mein sakoon milnay ke imkanat zayada hain. Aap ka sitara mushtari behtareen muqaam par ho ga, aap ki khawahishat ko pura karne mein muawan sabat ho ga. Agar aap mulk se bahir jana chahain tou bhi aap ke liye lucky year hai. Aur agar aap janna chahte hain ke aap ke liye lucky stone kon sa behtar hai aur kab pehanna chahiye tou aap hamari dusri site visit kijiye jo ke khas isi liye banai gyi hai aur whan par taqreeban sub ko un ki birth date ke hisab se pathar pataye jatay hain.

0 comments:

Post a Comment